So long, see you sucker, bon-voyage, arrivaderci, later loser, good bye, good riddance, peace out, let the door knob hit you where the good Lord split you, don't come back around here no more, astla vista, kick rocks & get the hell out! – Michael Kyle!

Posts tagged ‘gentleman’

Main Sach Kehta Hoon!

Main Sach Kehta Hoon Kabhie, Main Jhoot Kehta Hoon,

Main Sochta hoon kabhie ke Main kyun kehta hoon?

Kyun Kisi key muskaan se milti hai Khushi mujhe.

Kyun kisi key Gham mey main dukhi hota hoon.

Aaj Se Pehle Na toh mujhe is baat ka ilm tha.

Na hi kabhie main is baat se wakif tha,

Doston ka yaaron ka jitna apna hoon main,

Kisi Dukhi Ajnabee se utna hi Juda hoon main.

Is Bade Se Duniya Main jab Aksar Kahin,

Miljate hain Raston pe do Ajnabee.

Kyun Dil se Baat karne ki chah nikalti hai.

Kis Vishwas se main Dosti ka naam leta hoon.

Jab Gham se Guzra voh musafir,

Dil Ki baat aasunon ke saath kehta hai,

Tab Kyun us safar ke har pal main,

Mere Dil aur Zehen key voh saath rehta hai.

Voh Kaun hai jo uska main haulsa badata hoon,

Us ek pal key liye main use kyun Apnata hoon.

Raaston se hokar jab manzil paate hain,

Kis apnepan se yeh Lab Khuda Hafiz kehte hain.

“Insaan voh rahi hai jo chalta hi jaata hai,

Choton ke bavajood voh ruk nahi paata hai.

Choton se hauslen toh kaiyon key tooten hai,

Jo naa tute voh hi insaan kehlata hai.”

Main sach kehta hoon kabhi main jhoot kehta hoon.

Main sochta hoon aksar… ki main kyun kehta hoon.

Naam! Benaam! Yeh Naam!

Naam! Benaam! Yeh Naam. Anginat, Anjaane se Naam.

Kya kehta hai Naam? Kyun aehem hai Naam?

Kitne chehre hai Anjaan, Har cheez hai Bejaan,

Phir kyun ghere hai hume, itne saare naam.

Kahin Naam Ehsaas se bada toh nahi?

Kahin Naam Ehsaas se gehra toh nahi?

Kahin ek hi toh nahi hai yeh Ehsaas, yeh Naam.

Phir kyun ghere hai hume itne sare yeh Naam.

Kya Naam ke bina bhi Ehsaas koi hai?

Ya phir har ek ehsaas ka ek Naam Koi hai?

Kya badlate hai Ehsaas jab badalte hain Naam?

Phir kyun ghere hai hume itne saare Naam.

Hum sab ko jodta kabhie todta kabhie yeh Naam,

Har cheez ka hai mol, kabhi anmol hai Naam.

Ehsaas aur Pehchan ko disha deti hai Naam,

Na jaane kyun ghere hai hume itne saare yeh Naam,

Har Naam ka hai arth koi aur har arth ka ik Naam,

Kuch naye, kuch puraney kuch badalte hue Naam,

Arth aur ehsaas ko baande rakta hai naam,

Magar na jaane kyun ghere hai hume itne saare naam.

Aaj har kisi ka maksat ban gaya hai Naam,

Roti se bada ban gaya hai yeh Naam.

Agar Chain nahi ismey toh kis baat ka hai yeh Naam,

Aakhir kyun ghere hai hume …. itne saare … yeh naam.

Ek Nanhi Si Bachi

Ek Bachi hai meri duniya main, Jo hai bahut hi khaas,

Jitna bhaagta hoon main use chala aata hoon uske paas.

Use Maa keh kar pukarta hoon, Main janma hoon usi se.

Yeh Sach hai ki uski Surat dikti hai har bachi main.

Khuda ki aawaz hai Maa ki hasi main.

Khuda ki surat dikthi hai mujhe har choti bachi main.

Maa ki God main sari duniya main bhar saku.

Uske har aasun ko apne naam main kar saku.

Eh Khuda tu bhar de mujhe itni shakti se,

Uski seva karta rahoon teri hi bhakti main.

Khuda ki aawaz hai Maa ki hasi main.

Khuda ki surat Dikthi hai mujhe har choti bachi main.

Eh Khuda teri surat na dekhi hai kabhi kisi ne,

Dikthi hai teri Surat meri Maa meri Bachi main

523998_10151502016294334_1836675957_n