So long, see you sucker, bon-voyage, arrivaderci, later loser, good bye, good riddance, peace out, let the door knob hit you where the good Lord split you, don't come back around here no more, astla vista, kick rocks & get the hell out! – Michael Kyle!

Posts tagged ‘friends’

Main Sach Kehta Hoon!

Main Sach Kehta Hoon Kabhie, Main Jhoot Kehta Hoon,

Main Sochta hoon kabhie ke Main kyun kehta hoon?

Kyun Kisi key muskaan se milti hai Khushi mujhe.

Kyun kisi key Gham mey main dukhi hota hoon.

Aaj Se Pehle Na toh mujhe is baat ka ilm tha.

Na hi kabhie main is baat se wakif tha,

Doston ka yaaron ka jitna apna hoon main,

Kisi Dukhi Ajnabee se utna hi Juda hoon main.

Is Bade Se Duniya Main jab Aksar Kahin,

Miljate hain Raston pe do Ajnabee.

Kyun Dil se Baat karne ki chah nikalti hai.

Kis Vishwas se main Dosti ka naam leta hoon.

Jab Gham se Guzra voh musafir,

Dil Ki baat aasunon ke saath kehta hai,

Tab Kyun us safar ke har pal main,

Mere Dil aur Zehen key voh saath rehta hai.

Voh Kaun hai jo uska main haulsa badata hoon,

Us ek pal key liye main use kyun Apnata hoon.

Raaston se hokar jab manzil paate hain,

Kis apnepan se yeh Lab Khuda Hafiz kehte hain.

“Insaan voh rahi hai jo chalta hi jaata hai,

Choton ke bavajood voh ruk nahi paata hai.

Choton se hauslen toh kaiyon key tooten hai,

Jo naa tute voh hi insaan kehlata hai.”

Main sach kehta hoon kabhi main jhoot kehta hoon.

Main sochta hoon aksar… ki main kyun kehta hoon.

Naam! Benaam! Yeh Naam!

Naam! Benaam! Yeh Naam. Anginat, Anjaane se Naam.

Kya kehta hai Naam? Kyun aehem hai Naam?

Kitne chehre hai Anjaan, Har cheez hai Bejaan,

Phir kyun ghere hai hume, itne saare naam.

Kahin Naam Ehsaas se bada toh nahi?

Kahin Naam Ehsaas se gehra toh nahi?

Kahin ek hi toh nahi hai yeh Ehsaas, yeh Naam.

Phir kyun ghere hai hume itne sare yeh Naam.

Kya Naam ke bina bhi Ehsaas koi hai?

Ya phir har ek ehsaas ka ek Naam Koi hai?

Kya badlate hai Ehsaas jab badalte hain Naam?

Phir kyun ghere hai hume itne saare Naam.

Hum sab ko jodta kabhie todta kabhie yeh Naam,

Har cheez ka hai mol, kabhi anmol hai Naam.

Ehsaas aur Pehchan ko disha deti hai Naam,

Na jaane kyun ghere hai hume itne saare yeh Naam,

Har Naam ka hai arth koi aur har arth ka ik Naam,

Kuch naye, kuch puraney kuch badalte hue Naam,

Arth aur ehsaas ko baande rakta hai naam,

Magar na jaane kyun ghere hai hume itne saare naam.

Aaj har kisi ka maksat ban gaya hai Naam,

Roti se bada ban gaya hai yeh Naam.

Agar Chain nahi ismey toh kis baat ka hai yeh Naam,

Aakhir kyun ghere hai hume …. itne saare … yeh naam.

Image

Bheed!

Muhj jaise saikdo insaano se bani hai Bheed,

Roz mara ki Zindagi main aage nikalti hui Bheed.

Issi Bheed main kahin koi tanha bhi hai?

Hazaron ki tadaat main koi akela bhi hai.

Apni ek alag pehchan banaane ki chaah lekar,

Kitne chehron main sapne dikhaati hui bheed.

Na jaane kis aur chali jaati hai yeh Bheed,

Saadiyon se na miti hai Insaano ki yeh bheed.

Issi Bheed main kahin hasi Bhi goonjti hai,

Vahi Hasi phir behne ka raasta bhi dhoondti hai,

Kahin aakhon main hai sawal, kahin maathe pe hai shikhan,

Aur kahin door jhalkta, ek pyara sa bachpan

Kabhie kabhie ya Bheed ek saath chalti hai,

Isi main kho jaane ko mann karta hai.

Kabhie ek dusre ke khilaf bhi aag si ugalti hai.

Is baat se tanha yeh dil darta hai.

Aayega Ek Din Jab yaad karunga main kabhie,

Ke isi bheed se darta tha main kabhie,

“Par ab mujhe na dar hai kahin kisi Bheed se,

Kyunki mujhe jaise hi chere dikthi hai har Bheed main.” nas-and-damien-marley-crowd