So long, see you sucker, bon-voyage, arrivaderci, later loser, good bye, good riddance, peace out, let the door knob hit you where the good Lord split you, don't come back around here no more, astla vista, kick rocks & get the hell out! – Michael Kyle!

Main Sach Kehta Hoon!

Main Sach Kehta Hoon Kabhie, Main Jhoot Kehta Hoon,

Main Sochta hoon kabhie ke Main kyun kehta hoon?

Kyun Kisi key muskaan se milti hai Khushi mujhe.

Kyun kisi key Gham mey main dukhi hota hoon.

Aaj Se Pehle Na toh mujhe is baat ka ilm tha.

Na hi kabhie main is baat se wakif tha,

Doston ka yaaron ka jitna apna hoon main,

Kisi Dukhi Ajnabee se utna hi Juda hoon main.

Is Bade Se Duniya Main jab Aksar Kahin,

Miljate hain Raston pe do Ajnabee.

Kyun Dil se Baat karne ki chah nikalti hai.

Kis Vishwas se main Dosti ka naam leta hoon.

Jab Gham se Guzra voh musafir,

Dil Ki baat aasunon ke saath kehta hai,

Tab Kyun us safar ke har pal main,

Mere Dil aur Zehen key voh saath rehta hai.

Voh Kaun hai jo uska main haulsa badata hoon,

Us ek pal key liye main use kyun Apnata hoon.

Raaston se hokar jab manzil paate hain,

Kis apnepan se yeh Lab Khuda Hafiz kehte hain.

“Insaan voh rahi hai jo chalta hi jaata hai,

Choton ke bavajood voh ruk nahi paata hai.

Choton se hauslen toh kaiyon key tooten hai,

Jo naa tute voh hi insaan kehlata hai.”

Main sach kehta hoon kabhi main jhoot kehta hoon.

Main sochta hoon aksar… ki main kyun kehta hoon.

Aisi Parchaiyan!

Kitne din aise guzre mere,

Akela tha jab main.

Haara hua,

Toota hua.

Rooti Hui thi meri duniya.

Meri Mulakaat hui jab Tanhai se,

Tab Pechaan badi apni Parchaai se.

Main Kabhi na Bhool paunga,

Un dino ko,

Jab Yeh bhi laga,

Ki sirf meri hi uljaan nahi hai,

Jo mujhe andar se khaaye jaa rahi hai.

shayad is Sheher main base,

Un tamaam logon ke dilo main,

Kisi Sailaab ki fikar zaroor hai.

Main hi nahi hoon, Soch main dooba sa,

Siakdo raaton main, Akele jaaga sa,

Mere saath saath.

Kitne aise bhi hain joh,

Tanha raat main jo so na paye hain.

Lekin yeh mukaam toh nahi lagta,

Jo mere kadam tham sake.

Yeh baazaari duniya,

chale jaa rahi thi,

Hum Kadam bhi na utha sake.

Darr se jo dabe hue they.

Toote hauslo ko Pirohne main,

Main mashroof zaroor tha.

Us waqt na chal saka,

Qubool karta hoon,

Main Majboor zaroor tha.

Ahiste Ahiste, maine kadam badaye.

Aur manzil ki Taraf,

Sar apna phir phera.

Kisi shikhan se na ho saka,

Kahin mera Besera.

 

Main tab tak chalta jaaunga,

Jab tak in baazuon main jaan hai bakqi.

Mushkile har dum besengey parchaion main,

Jab tak insaan hai bakqi.

Naam! Benaam! Yeh Naam. Anginat, Anjaane se Naam.

Kya kehta hai Naam? Kyun aehem hai Naam?

Kitne chehre hai Anjaan, Har cheez hai Bejaan,

Phir kyun ghere hai hume, itne saare naam.

Kahin Naam Ehsaas se bada toh nahi?

Kahin Naam Ehsaas se gehra toh nahi?

Kahin ek hi toh nahi hai yeh Ehsaas, yeh Naam.

Phir kyun ghere hai hume itne sare yeh Naam.

Kya Naam ke bina bhi Ehsaas koi hai?

Ya phir har ek ehsaas ka ek Naam Koi hai?

Kya badlate hai Ehsaas jab badalte hain Naam?

Phir kyun ghere hai hume itne saare Naam.

Hum sab ko jodta kabhie todta kabhie yeh Naam,

Har cheez ka hai mol, kabhi anmol hai Naam.

Ehsaas aur Pehchan ko disha deti hai Naam,

Na jaane kyun ghere hai hume itne saare yeh Naam,

Har Naam ka hai arth koi aur har arth ka ik Naam,

Kuch naye, kuch puraney kuch badalte hue Naam,

Arth aur ehsaas ko baande rakta hai naam,

Magar na jaane kyun ghere hai hume itne saare naam.

Aaj har kisi ka maksat ban gaya hai Naam,

Roti se bada ban gaya hai yeh Naam.

Agar Chain nahi ismey toh kis baat ka hai yeh Naam,

Aakhir kyun ghere hai hume …. itne saare … yeh naam.

Ek Nanhi Si Bachi

Ek Bachi hai meri duniya main, Jo hai bahut hi khaas,

Jitna bhaagta hoon main use chala aata hoon uske paas.

Use Maa keh kar pukarta hoon, Main janma hoon usi se.

Yeh Sach hai ki uski Surat dikti hai har bachi main.

Khuda ki aawaz hai Maa ki hasi main.

Khuda ki surat dikthi hai mujhe har choti bachi main.

Maa ki God main sari duniya main bhar saku.

Uske har aasun ko apne naam main kar saku.

Eh Khuda tu bhar de mujhe itni shakti se,

Uski seva karta rahoon teri hi bhakti main.

Khuda ki aawaz hai Maa ki hasi main.

Khuda ki surat Dikthi hai mujhe har choti bachi main.

Eh Khuda teri surat na dekhi hai kabhi kisi ne,

Dikthi hai teri Surat meri Maa meri Bachi main

523998_10151502016294334_1836675957_n

Kaise Jeetey Hain Log

Tapti reath pe, Milo door, Nange paau, Bin pyas bhujakar,

Kaise Jeete hain log,

Sare-aam, Desh ki hifazat, Seena taane, Tirnaga lehrakar,

Kaise jeete hain log.

Ghar se door, aadhe peth, ghanto kaam, Neend Pasari aankh masalkar,

Kaise jeete hain log.

Apne bacho ke haatho dhoka, tanhai beech majdhar main khakar,

Kaise jeete hain log.

Apni dukti rag pe apna hi haath apno ke khatir muskurate hue rakhkar,

Kaise jeete hain log.

Apni duniya peeche chod, vishwas baandhe, ajnabee parivar main bhiyakar,

Kaise jeete hain log.

Musibaton ke darmiyan ek muskaan aur huasle ke saath aage badkar,

Kaise jeete hain log.

Makhmal ke khano se aur Mekhano se ek nazar utha ke dekho,

Kaise jeete hain log.

 

Muhj jaise saikdo insaano se bani hai Bheed,

Roz mara ki Zindagi main aage nikalti hui Bheed.

Issi Bheed main kahin koi tanha bhi hai?

Hazaron ki tadaat main koi akela bhi hai.

Apni ek alag pehchan banaane ki chaah lekar,

Kitne chehron main sapne dikhaati hui bheed.

Na jaane kis aur chali jaati hai yeh Bheed,

Saadiyon se na miti hai Insaano ki yeh bheed.

Issi Bheed main kahin hasi Bhi goonjti hai,

Vahi Hasi phir behne ka raasta bhi dhoondti hai,

Kahin aakhon main hai sawal, kahin maathe pe hai shikhan,

Aur kahin door jhalkta, ek pyara sa bachpan

Kabhie kabhie ya Bheed ek saath chalti hai,

Isi main kho jaane ko mann karta hai.

Kabhie ek dusre ke khilaf bhi aag si ugalti hai.

Is baat se tanha yeh dil darta hai.

Aayega Ek Din Jab yaad karunga main kabhie,

Ke isi bheed se darta tha main kabhie,

“Par ab mujhe na dar hai kahin kisi Bheed se,

Kyunki mujhe jaise hi chere dikthi hai har Bheed main.” nas-and-damien-marley-crowd